Duvidha Rap Lucke Mp3 Song Download

Lucke is the singer of the song Duvidha. The music for this song was composed Lucke, and the lyrics were written by Lucke. Duvidha Rap Lucke Mp3 Song Download for FREE Online.

Duvidha

Duvidha - Lucke


Title Duvidha
Category Bhakti Bhajan Mp3 Songs
Singer Lucke
Lyrics Lucke
Music Lucke
Duration 3:02
Added On 14-Apr-2024
Size 2.77 mb
Share This Page! Facebook Sms Twitter Whatsapp
Play Online
Download - 2.77 mb

Duvidha Lyrics

Dukh Shuru They Mere Janam Se Pehle
Janam Se Phele Meri Maut Intezaar Me
Kese Kahu Kahaniya
Ab Suno Poori Lambi Kataar Me

Janam Hua Mera Jail Me
Maa Baap Ka Cehra Mene Dekha Nhi
Roti Rhi Maa Devaki
Judai Mili Muje Bhent Me

Mama Se Mila Uphaar Ye
Mere Maat Pita Laachaar They
6 Bhaiyo Ko Maara Saamne
Aansu They Maa Ki Aankho Me

Vese Toh Tha Bhagwan Me
Ajeeb Sa Ye Khel Hai
Mere Maat Pita Mere Devta
Vo Dono Hi They Jail Me

Kartavya Mile Muje Janam Se
Bachpan Beeta Sangharsh Me
Jis Maa Ne Paala Posha Muje
Uss Se Bhi Ho Gya Door Me

Vidhi Ka Kya Vidhaan Tha
Kya Lekh Likha Tha Karmo Ka
Tum Theek Se Ro Toh Lete Ho
Me Ro Bhi Na Paaya Chain Se

Kehne Ko Toh Me Sabkuch Tha
Me Raja Bhi Me Rank Bhi
Kastho Se Bhara Tha Jeevan Mera
Dukho Ka Mere Ant Ni

Khel Kood Ki Umar Me
Kartavya Mere Anek They
Chudwana Tha Mere Maat Pita Ko
Kai Barso Se Kaid They

Dharam Ke Chalte Karm Se
Vo Vrindhawan Bhi Chod Diya
Mathura Ki Unn Galiyo Se Bhi
Apna Daaman Mod Liya

Vrindavan Ke Saath Saath
Kismat Bhi Meri Rooth Gyi
Praano Se Bhi Priy Meri
Wo Radha Rani Chooth Gyi

Baansuri Ko Bhi Tyaag Diya
Sab Chod Chaad Ke Door Gya
Sudarshan Dharan Krke Kanha
Dhun Murli Ki Bhool Gya

Dharam Bachane Ki Khatir Ab
Hastinapur Ko Laut Gya , Mein
Maakhan Chori Krta Tha , Kabhi
Nyaydheesh Ab Ban Gya

Samay Ka Chakra Ajeeb Tha
Me Jeet Ke Bhi Haar Gya
Dharam Bachane Wale Ko
Duniya Ne Kapti Bata Diya

Tarah Tarah Ke Shraap Mile
Ashru Ki Boonde Sookh Gyi
Maa Gandhari Ke Shraap Se
Meri Dwarika Nagri Doob Gyi

Meri Bansuri Bhi Choot Gyi
Meri Dwarika Bhi Doob Gyi
Mene Kya Hi Paaya Jeevan Se
Jab Premika Hi Door Gyi

Vishraam Krne Leta Tha , Mein
Teer Pair Me Aa Lagi
Tum Jeete Zindgi Chain Se
Muje Maut Chain Se Na Mili

Maanav Ke Iss Roop Me
Mene Jaane Kya Kya Dekha
Mere Vansh Ka Patan Dekha
Barbrik Ka Mastak Dekha

Draupadi Ka Cheerharan
Abhimanyu Ka Akaal Maran
Kurukshetra Ki Uss Bhoomi Me
Bhaari Bharkam Vidhvansh Dekha...

Bhakti Bhajan Mp3 Songs